Tuesday, 29 November 2011

Mirza Ghalib Shayari 2

1. kabhee nekee bhee uske jee meiN gar aa jaaye hai mujhse
jafaayeN karke apnee yaad sharma jaaye hai mujhse

[ jafaayeN = opression/tyranny of a beloved ]

2. KHudaaya ! jazbaa-e-dil kee magar taaseer ulTee hai
ki jitna khiNtchataa hooN aur khiNtchtaa jaaye hai mujhse

[ jazbaa-e-dil = emotions, taaseer = impression ]

3. woh bad_KHoo aur meree daastan-e-ishq tulaanee
ibaarat muKHtasar, qaasid bhee ghabra jaaye hai mujhse

[ bad_KHoo = bad habits, tulaanee = long, ibaarat = diction/
admonishing, muKHtasar = concise, qaasid = messenger ]

4. udhar woh bad_GHumaanee hai, idhar yeh naatavaanee hai
na poocha jaaye hai us'se, na bola jaaye hai mujhse

[ badGHumaanee = suspicion, naatavaanee = weakness ]

5. sambhalne de mujhe 'ei na_ummidee kya qayaamat hai
ki daamaan-e-KHayaal-e-yaar chooTa jaaye hai mujhse

6. takalluf bartaraf nazzaaragee meiN bhee sahi, lekin
woh dekha jaaye, kab ye zulm dekha jaaye hai mujhse

[ taqalluf = hesitation/formality, bartaraf = suspend ]

7. hue haiN paaNv hee pehle nabard-e-ishq meiN zaKHmee
na bhaaga jaaye hai mujhse, na Thehra jaaye hai mujhse

[ nabard-e-ishaq = struggle in love ]

8. qayaamat hai ke howe muddaee ka ham_safar 'GHalib'
woh kaafir, jo KHuda ko bhee na sauNpa jaaye hai mujhse


.......................................................................


1. dil se teree nigaah jigar tak utar gayee
donoN ko ik adaa meiN razaamand kar gayee

2. shaq ho gaya hai seena, KHushee lazzat-e-firaaq
takleef-e-pardaadaari-e-zaKHm-e-jigar gayee

[ shaq = crack/split, firaaq = separation,
pardaadaaree = to hide, esp. fault ]

3. woh baada-e-shabaana kee sar mastiyaaN kahaaN ?
uThiye bas ab ki lazzat-e-KHwaab-e-sahar gayee

[ baada = wine, shabaana = night, sahar = morning ]

4. uDtee phire hai KHaak meree koo-e-yaar se
baare ab 'ei hawa, hawas-e- baal-o-par gayee

[ baare = at last, koo-e-yaar = lover's street ]

5. dekhooN to dil_farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-KHiraam-e-yaar bhee kya gul katar gayee

[ dil_fareb = heart alluring, naqsh = copy/print, pa = leg,
mauj = wave/enjoyment, KHiraam = speed ]

6. har bulhawas ne husn_parastee shiaar kee
ab aabru-e-sheva-e-'ehl-e-nazar gayee

[ bulhawas = greedy, husn_parastee = to appreciate beauty,
shiaar = habit, aabru = respect/honour, sheva = manner/habit ]

7. nazzaare ne bhee kaam kiya waaN naqaab ka
mastee se har nigaah tere ruKH par bikhar gayee

8. farda-o-dee ka tafarqa yak baar mit gaya
kal tum gaye ke ham pe qayaamat guzar gayee

[ farda = yesterday, dee = tomorrow, tafarqa = difference ]

9. maara zamaane ne 'Asadullah KHaaN' tumhe
woh walwale kahaaN, woh jawaanee kidhar gayee ?

[ walwale = enthusiasm ]

......................................................................

1. miltee hai KHoo-e-yaar se naar iltihaab meiN
kaafir hooN gar na miltee ho raahat 'azaab meiN

[ KHoo-e-yaar = lover's nature/behavior/habit, naar = fire,
iltihaab = flame, 'azaab = sorrow ]

2. kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN ?
shab haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN

[ jahaan-e-KHaraab = world of problems, shab = night,
hijr = separation ]

3. taa phir na intezaar meiN neeNd aaye 'umr bhar
aane ka 'ahad kar gaye aaye jo KHwaab meiN

[ taa = so that, 'ahad = promise ]

4. qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN
maiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN

[ qaasid = messenger ]

5. mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam
saaqee ne kuchch mila na diya ho sharaab meiN

[ bazm = meeting/"mehafil", saaqee = bar tender ]

6. jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale ?
kyooN badGHumaaN hooN dost se dushman ke baab meiN ?

[ munkir-e-wafa = one who denies loyalty, fareb = illusion/fraud
badGHumaaN = suspicious, baab = company ]

7. maiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se
Daala hai tumko weham ne kis pech-o-taab meiN

[ muztarib = anxious/disturbed, wasl = meeting with the lover,
KHauf = fear, raqeeb = opponent, pech-o-taab = predicament ]

8. mai aur haz'z-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai
jaaN nazr denee bhool gaya iztiraab meiN

[ mai = bar, haz'z-e-wasl = joy of meeting, KHudaa_saaz = god's gift,
iztiraab = anxiety ]

9. hai tevaree chaDee huee andar naqaab ke
hai ik shikan paDee huee tarf-e-naqaab meiN

[ shikan = wrinkle, tarf = eyelid ]

10. laakhauN lagaav, ik churaana nigaah ka
laakhauN banaav, ik bigaaDna itaab meiN

[ itaab = anger ]

11. woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye
jis naale se shigaaf paDe aaftaab meiN

[ naala_dil = crying heart, KHas = hay/grass, shigaaf = crack,
aaftaab = sun/face ]

12. woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye
jis sehar se safina ravaaN ho saraab meiN

[ sehar = magic, muddaa talbee = fulfillment of a desire,
safina = boat, ravaaN = move, saraab = mirage ]

13. 'GHalib' chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee
peeta hooN roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN

[ abr = clouds, roz-e-abr = cloudy day, maahtaab = moon ]

.......................................................................


1. daayam paDa huaa tere dar par naheeN hooN maiN
KHaak 'eisee zindagee pe ke patthar naheeN hooN maiN

[ daayam = always ]

2. kyooN gardish-e-mudaam se ghabra na jaaye dil ?
insaan hooN, pyaala-o-saaGHar naheeN hooN maiN

[ gardish = bad time/luck, mudaam = always ]

3. yaarab ! zamaana mujhko miTaata hai kis liye ?
loh-e-jahaaN pe harf-e-muqarrar naheeN hooN maiN

[ harf = alphabet, muqarrar = again ]

4. had chaahiye saza meiN uqoobat ke waaste
aaKHir gunaahagaar hooN, kaafir naheeN hooN maiN

[ uqoobat = pain ]

5. kis waaste 'azeez naheeN jaante mujhe ?
laal-o-zumarrud-o-zar-o-gauhar naheeN hooN maiN

[ laal = a kind of gem, zumurrud = green colored gem,
zar = gold, gauhar = gem ]

6. rakhte ho tum qadam meree aaNkhoN se kya dareGH
rutbe meiN mehar-o-maah se kamtar naheeN hooN maiN

[ dareGH = regret/grief, mehar = sun, maah = moon ]

7. karte ho mujhko man'a-e-qadam_bos kis liye ?
kya aasmaan ke bhee baraabar naheeN hooN maiN ?

[ bosa = kiss ]

8. 'GHalib' wazifaa_KHwaar ho, do shaah ko duaa
woh din gaye ki kehte the;, "naukar naheeN hooN maiN"

[ wazifaa_KHawaar = pensioner ]

No comments:

Post a Comment