Tuesday, 29 November 2011

Mirza Ghalib shayari

1. har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ?
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ?

[ guftgoo = conversation ]

2. na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ?

[ barq = lightning, tund = sharp/angry, KHoo = behavior ]

3. yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ?

[ rashk = jealousy, ham_suKHan = to speak together/to agree,
KHauf = fear, bad = bad/wicked, aamozee = education/teaching,
adoo = enemy ]

4. chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ?

[ pairaahan = shirt/robe/cloth, haajat = need/necessity,
rafoo = mending/darning ]

5. jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ?

[ justjoo = desire ]

6. ragoN meiN dauDte phirne ke ham naheeN qaayal
jab aaNkh hee se na Tapka to phir lahoo kya hai ?

7. woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ?

[ bahisht (or bihisht, both are correct) = heaven, baada = wine,
gul_faam = delicate and fragrant like flowers, mushkaboo = like
the smell of musk ]

8. piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ?

[ KHum = wine barrel, qadah = goblet, kooza/suboo = wine pitcher ]

9. rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ?

[ guftaar = speech/discourse ]

10. huaa hai shaah ka musaahib, phire hai itaraata
wagarna shehar meiN 'GHalib' kee aabroo kya hai ?

[ musaahib = comrade/associate ]

............................................................................


1. husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai
us'se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai

[ mah = moon, KHursheed = sun, jamaal = beauty ]

2. bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah
jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai

[ bosa = kiss ]

3. aur baazaar se le aaye agar TooT gaya
saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai

[ saaGHar-e-jam = Badshah Jamshed's cup, jaam-e-sifaal = clay cup ]

4. be_talab daiN to maza usme siwa milta hai
woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai

[ be_talab = without any enquiry, gada = beggar, KHoo = habit ]

5. unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq
woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai

6. dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz ?
ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai

[ ushshaaq = lovers, faiz = profit ]

7. ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya
jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai

[ ham_suKHan = together, tesha = axe ]

8. qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye
kaam achchaa hai woh, jiska ma'aal achcha hai

[ ma'aal = result ]

9. KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz
shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai

[ KHijr SultaaN = one of Badshah Zafar's son, KHaaliq = The Creator/
God, akbar = greatest, sar_sabz = fertile, nihaal = tree ]

10. hamko ma'aloom hai jannat ki haqeeqat lekin
dil ke KHush rakhne ko, 'GHalib' yeh KHayaal achcha hai

...........................................................................


1. GHair leiN mehfil meiN bose jaam ke
ham rahaiN yooN tishna_lab paiGHaam ke

[ bosa = kiss, tishna = thirsty ]

2. KHastagee ka tumse kya shikwa ki ye
hathkanDe haiN charKH-e-neelee_faam ke

[ KHastagee = injury/sickness, shikawa = complaint,
hathkanDe = tactics, charKH = sky, neelee_faam = blue colour/
complexion ]

3. KHat likhenge garche matlab kuchch na ho
ham to aashiq haiN tumhaare naam ke

4. raat pee zamzam pe mai aur subh_dam
dhoye dhab'be jaam-e-'eharaam ke

[ zamzam = a well in Kaba whose water is considered holy,
mai = wine, subh_dam = at dawn, 'eharaam = dress for 'haj' ]

5. dil ko aaNkhoN ne fasaaya kya magar
ye bhee halqe haiN tumhaare daam ke

[ halqa = ring/circle, daam = net/trap ]

6. shaah ke haiN GHusl-e-sehat ko KHabar
dekhiye kab din phireiN hammaam ke

[ GHusl = bath, sehat = health, hammaam = a hot bath where a masseur
gives massage and bath ]

7. ishq ne 'GHalib' nikamma kar diya
warna ham bhee aadmee the; kaam ke

.............................................................................


1. naqsh fariyaadee hai kiskee shoKHee-e-tehreer ka
kaaGHazee hai pairhan har paikar-e-tasweer ka

[ naqsh = copy/print, fariyaad = complaint, tehreer = hand
writing, kaaGHazee = delicate, pairhan = dress,
paikar = appearance ]

2. kaave-kaave saKHt_jaanee haay tanhaaee na pooch
subah karna shaam ka laana hai joo-e-sheer ka

[ kaave-kaave = hard work, saKHt_jaanee = tough life,
joo = canal/stream, sheer = milk, joo-e-sheer = to create a
canal of milk, here means to perform an impossible task ]

3. jazba-e-be_iKHtiyaar-e-shauq dekha chaahiye
seena-e-shamsheer se baahar hai dam shamsheer ka

[ iKHtiyaar = authority/power, shamsheer = sword ]

4. aagahee daam-e-shuneedan jis qadar chaahe bichaaye
mudda'a 'anqa hai apne aalam-e-taqreer ka

[ aagahee = knowledge/intution, daam = net/trap,
shuneed = conversation, 'anqa = rare, aalam = world/universe,
taqreer = speech/discourse ]

5. bus ke hooN 'GHalib' aseeree meiN bhee aatish zer-e-pa
moo-e-aatish_deeda hai halqa meree zanjeer ka

[ aseeree = imprisonment/captivity, zer-e-pa = under the feet,
moo = hair, aatish_deeda = roasted on fire, halqa = ring/circle ]

No comments:

Post a Comment