1. dil-e-naadaaN tujhe huaa kya hai ?
aaKHir is dard kee dawa kya hai
2. ham haiN mushtaaq aur woh bezaar
ya ilaahee ! yeh maajra kya hai ?
[ mushtaaq = interested, bezaar = displeased/sick of ]
3. maiN bhee muNh meiN zabaan rakhta hooN
kaash ! poocho ki "muddaa kya hai" ?
4. jab ki tujh bin naheeN koee maujood
phir ye hangaama, 'ei KHuda ! kya hai
5. ye paree chehara log kaise haiN ?
GHamza-o-ishwa-o-'adaa kya hai ?
[ paree chehara = angel faced, GHamza = amorous glance,
ishwa = coquetry ]
6. shikan-e-zulf-e-ambaree kyoN hai ?
nigah-e-chashm-e-soorma sa kya hai ?
[ shikan = wrinkel/fold, ambaree = fragrance, chashm = eye ]
7. sabja-o-gul kahaaN se aaye haiN ?
abr kya cheez hai, hawa kya hai ?
[ abr = clouds ]
8. hamko unse wafa ki hai ummeed
jo naheeN jaante wafa kya hai
9. "haaN bhala kar tera bhala hoga"
aur darvesh kee sada kya hai ?
[ darvesh = beggar, sada = voice ]
10. jaan tum par nisaar karta hooN
maiN naheeN jaanata duaa kya hai
11. maiNe maana ki kuchch naheeN 'GHalib'
muft haath aaye to bura kya hai ?
..........................................................................
1. woh aake KHwaab meiN taskeen-e-iztiraab to de
wale mujhe tapish-e-dil, mazaal-e-KHwaab to de
[ taskeen = satisfaction, iztiraab = anxiety, tapish = burn/passion,
mazaal = strength ]
2. kare hai qatl lagaawat meiN tera ro dena
teree tarah koee teGH-e-nigah ko aab to de
[ lagaawat = affection, tegh = sword, aab = cool ]
3. dikhaake jumbish-e-lab hee tamaam kar hamko
na de jo bosa, to muNh se kaheeN jawaab to de
[ jumbish = motion/vibration, bosa = kiss ]
4. pila de oak se saaqee jo hamse nafrat hai
pyaala gar naheeN deta na de, sharaab to de
[ oak = palm of the hand contracted so as to hold water ]
5. 'Asad' KHushee se mere haath paaNv phool gaye
kaha jo usne zara mere paaNv daab to de
..........................................................................
1. ghar jab bana liya hai tere dar par kahe baGHair
jaanega ab bhee too na mera ghar kahe baGHair
2. kehte haiN, jab rahee na mujhe taaqat-e-suKHan
jaanooN kisee ke dil ki maiN kyoNkar kahe baGHair
[ taaqat-e-suKHan = strength to speak ]
3. kaam us'se aa paDa hai ki jiska jahaan meiN
lewe na koee naam 'sitamgar' kahe baGHair
[ sitamgar = oppressor ]
4. jee meiN hee kuchch naheeN hai hamaare, wagarna ham
sar jaaye ya rahe, na rahaiN par kahe baGHair
5. choDooNga maiN na us but-e-kaafir ka poojna
choDe na KHalq go mujhe kaafir kahe baGHair
[ but = idol/lover, KHalq = world ]
6. maqsad hai naaz-o-GHamza, wale guftagoo meiN kaam
chalta naheeN hai, dashna-o-KHanjar kahe baGHair
[ GHamza = amorous glance, dashna = dagger ]
7. har chand ho mushaahit-e-haq ki guftagoo
bantee naheeN hai baada-o-saaGHar kahe baGHair
[ mushaahit = God, baada = wine ]
8. behra hooN maiN to chaahiye doona ho iltafaat
sunta naheeN hooN baat muqarrar kahe baGHair
[ iltafaat = mercy, muqarrar = again ]
9. 'GHalib' na kar huzoor meiN too baar-baar 'arz
zaahir hai tera haal sab un par kahe baGHair
...........................................................................
1. shauq har rang raqeeb-e-sar-o-saamaaN niklaa
qais tasveer ke parde meiN bhee uriyaaN niklaa
[ raqeeb = opponent, sar-o-saamaaN = with belongings,
qais = 'majanooN', uriyaaN = nude ]
2. zaKHm ne daad na dee, tangee-e-dil ki yaarab !
teer bhee seena-e-bismil se par_afshaaN niklaa
[ daad = justice, seena-e-bismil = wounded heart, par = wings,
afshaaN = rattle ]
3. boo-e-gul, naala-e-dil, dood-e-charaaGH-e-mehfil
jo teree bazm se nikla, so parishaaN niklaa
[ boo = fragrance, gul = flower, naalaa = cry, dood = smoke, esp.
from a lamp that's been extinguished ]
4. thee nau_aamoz_fana'a himmat-e-dushwaar_pasand
saKHt mushkil hai ki yah kaam bhee aasaaN nikla
[ nau_aamoz = beginner, dushwaar = difficult ]
5. dil meiN phir giryaaN ne ik shor uThaaya 'GHalib'
aah jo qatra na nikla tha, so toofaaN nikla
[ giryaaN = weeping, qatra = drop ]
...........................................................................
1. 'arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil naheeN raha
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha
[ niyaaz = desire/an offering ]
2. jaata hooN daaGH-e-hasarat-e-hastee liye hue
hooN shamma'a_kushta darKHur-e-mehfil naheeN raha
[ hastee = life/existence, shamma'a_kushta = extinguished lamp,
darKHur = worthy ]
3. marne ki 'ei dil aur hee tadabeer kar ki maiN
shaayaan-e-dast-o-baazu-e-qaatil naheeN rahaa
[ tadabeer = solution/remedy, shaayaan = worthy, dast = hand,
baazoo = shoulder ]
4. bararoo-e-shash jihat dar-e-aaina_baaz hai
yaaN imtiaz-e-naakis-o-qaamil naheeN rahaa
[ bararoo = in front, shash = six, jihat = direction,
imtiaz = distinction, naakis = cunning, qaamil = intelligent ]
5. waa kar diye haiN shauq ne band-e-naqaab-e-husn
GHair_az nigaah ab koee haayal naheeN raha
[ waa = open, GHair_az = other than, haayal = obstacle ]
6. go maiN raha, rahee na sitam haaye rozgaar
lekin tere KHayaal se GHaafil naheeN raha
[ sitam = oppression, GHaafil = unaware/careless ]
7. dil se hawa-e-kisht-e-wafa miT gayee ki waaN
haasil siwaay hasrat-e-haasil naheeN raha
8. bedaad-e-ishq se naheeN Darta magar 'Asad'
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil naheeN raha
[ bedaad = injustice ]
............................................................................
1. na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota maiN to kya hota ?
2. huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
na hota gar juda tan se to zaanooN par dhaRa hota
[ behis = shocked/stunned, zaanooN = knee ]
3. huee muddat ke 'GHalib' mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota to kya hota ?
[ muddat = duration/period ]
No comments:
Post a Comment